Dec 5

Hindi Song Title: Maa

Hindi Movie/Album Name: Taare Zameen Par - 2007

Music: Shankar-Ehsaan-Loy

Singer: Shankar Mahadevan

 


main kabhi batlata nahin
par andhere se darta hoon main maa
yun to main,dikhlata nahin
teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hain pata, hain na maa
tujhe sab hain pata,,meri maabheed mein yun na chodo mujhe
ghar laut ke bhi aa naa paoon maa
bhej na itna door mujkko tu
yaad bhi tujhko aa naa paoon maa
kya itna bura hoon main maa
kya itna bura meri maajab bhi kabhi papa mujhe
jo zor se jhoola jhulate hain maa
meri nazar dhoondhe tujhe
sochu yahi tu aa ke thaamegi maa

unse main yeh kehta nahin
par main seham jaata hoon maa
chehre pe aana deta nahin
dil hi dil mein ghabraata hoon maa
tujhe sab hai pata hai naa maa
tujhe sab hai pata meri maa

main kabhi batlata nahin
par andhere se darta hoon main maa
yun to main,dikhlata nahin
teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hain pata, hain na maa
tujhe sab hain pata,,meri maa

Nov 29
hmm hmm hmm hmmm la la la
hey hey hey hey ah ha
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
valle valle
valle valle
valle valle
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata
zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

valle valle
valle valle
teri adaa bhi hain jhonke wali chhu ke gujar jaane de
teri lachak hain ke jaise daali dil mein utar jaane de
aaja baahon mein karke bahana hona hain tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
hain jo iraaden bata doon tumko sharma hi jaaogi tum
dhadakanen jo suna doon tumko ghabraa hi jaaogi tum
hamko aata nahi hain chhupana hona hain tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata
zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain tujhmein fanaa