Oct 4

aa chal ke tujhe, mai.n le ke chaluu.n
ik aise gagan ke tale
jahaa.n Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho
bas pyaar hii pyaar pale
ik aise gagan ke tale

suuraj kii pahalii kiraN se, aashaa kaa saveraa jaage (2)
cha.ndaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor a.ndheraa bhaage (2)
kabhii dhuup khile kabhii chhaa.Nv mile
lambii sii Dagar na khale
jahaa.n Gam bhii no ho, aa.Nsuu bhii na ho …

jahaa.n duur nazar dau.D aae, aazaad gagan laharaae
jahaa.n ra.ng bira.nge pa.nchhii, aashaa kaa sa.ndesaa laae.n (2)
sapano me palii ha.Nsatii ho kalii
jahaa.n shaam suhaanii Dhale
jahaa.n Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho …
aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n …

Oct 4
The last Time

Oct 4

Hindi Song Title: Ek Shaqs Raaste Mein
Hindi Movie/Album Name:
ABHIJEET SAWANT - JUNOON
Singer(s): ABHIJEET SAWANT

(ek shaqs raaste mein kahin choot gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha) - 2

woh shaqs jiske kaandhe pe sir rakhe mein soya
seene se lagke jiske kayi baar mein roya
jiski zulfon ke khusboo mein raaton mein khoya
jis jism ki barsaat mein yeh jism bheegoya
(ek din kisi baat pe jab woh rooth gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha) - 2
ek shaqs raaste mein kahin choot gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha

rehta hoon qaid abhi jiski yaadon ke pehare mein
hai labz jiska zinda meri baahon ke ghere mein
jiske khwaabon ko maine neend mein sanjoya
jiske ashqko ko maine apani ankhon pe piroya
(ek din kisi baat pe jab woh rooth gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha) - 2
ek shaqs raaste mein kahin choot gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha

ek shaqs raaste mein kahin choot gaya tha
us haadse ke baad, yeh dil toot gaya tha
ek shaqs raaste mein… raaste mein

Oct 4

Song Title: ho.nTho.n se chhuulo tum, meraa giit amar kar do
ho.nTho.n se chhuulo tum
meraa giit amar kar do
ban jaao miit mere
merii priit amar kar do

na umar kii siimaa ho
na janam kaa ho ba.ndhan
jab pyaar kare koI
to dekhe keval man
na_I riit pe chalakar tum
ye riit amar kara do
ho.nTho.n se chhuulo tum …

jag ne chhiinaa mujhase
mujhe jo bhii lagaa pyaaraa
sab jiitaa kiye mujhase
mai.n har dam hii haaraa
tum haar ke dil apanaa
merii jiit amar kar do
ho.nTho.n se chhuulo tum …

aakaash kaa suunaa pan
mere tanahaa man me.n
paayal chhanakaatii tum
aajaao jiivan me.n
saa.nse.n dekar apanii
sa.ngiit amar kar do
ho.nTho.n se chhuulo tum …